asar ho raha hai mohabbat ka aaj phir,aaj phir main nagme gungunaane laga hun.
pahle main darta tha mohabbat k khel se,ab phir se baazi lagaane laga hun.
jiski talaash thi mujhe hamesha, kya tum sachmuch wahi ho.
tumhe dekhta hun toh lagta hai kii kaahin tum khwaab toh nahi ho.
bas padh lo meri aankhon main mohaabat apne liye,
labon se keh saku itni himmat ab nahin hai.
todna mat mera dil jo tumko diya hai,
is baar jo main bikhra toh phir judna mumkin nahi hai..

No comments: